Ek Lamha – A moment

Ek Lamha

zindagi naam hain kuch lamho ka
aur unme mein bhi wahi ek lamha
jisme do bolti aankhen
chai ki pyali se jab uthein
to dil mein doobey
doob ke dil mein kahe
aaj tum kuch na kaho
aaj hum kuch na kahein
bas unhi baithey rahe
haath mein haath liye
gum ki saugaat liye
garmi-e-jazbaatliye
kaun jaane ki isi lamhe mein
door parbat par kahin barf pighalne hi lage

~Kaifi Azmi
https://en.wikipedia.org/wiki/Kaifi_Azmi

Love the simplicity of language in this poem and how it creates a very lucid imagery, lastly the hope that poet has…